plz some one design this beautiful Ghazal
...Ankhen bheeg jaati hen...
Samandar me utarta hun to aankhen bheeg jaati hen..
teri aankhon ko perhta hun to aakhen bheeg jaati hen.
tumhara naam likhne ki ijazat chinn gay jab se
koi bhi lafz likhta hun to aakhen bheeg jaati hen.
teri yaadon ki khushboo khirrkiyon me raqs karti he
tere gham me sulagta hun to aakhen bheeg jaati hen.
na jaane hogaya hun is qadar hassass me kab se
kisi se baat karta hun to aakhen bheeg jaati hen.
me sara din bohat masroof rehta hun mager jun hi
qadam chokhat pe rakhta hun to aakhen bheeg jaati hen
her ek muflis ky mathey per allm ki dastanein hain
koi chehra bhi parhta hoon to aakhen bheeg jaati hen
bare logon ky oonche badnuma aor sard mehloon ko
Ghareeb aankhon se takta hoon to aakhen bheeg jaati hen
terey koochey se ab mera ta alluq wajibi sa hey
magar jab bbi guzarta hun to aakhen bheeg jaati hen.
Wo Sab Guzre Lamhaat Mujh Ko Yaad Atay Hain,
Tumhare Khat Jo Perhta Hoon To Ankhein Bheeg Jati Hain.
hazaaron mausamon ki hukmarani he mere dil per
wasi me jab bhi hansta hun to aakhen bheeg jaati hen
Wassi Shah
Faizan Ahmed: zahir ki nazar sy to yahaN her koi dekhy...
AsSalamAlaikum,
kia haal hain sab ke.
is image ki frame par kafi mehnat karni pari hai woh is liye kyun ke pehli baar coroners me transparency ki attempt ki hai, yani rectangle se thora sa hat kar image banaya hai aik do new tools use karna bhi seekhay hain ab bhi corners me brush ka effect thora reh gaya hai.. koshish karoun ga is ko bhi hatana seekh loun
Ghazal Faizan bhai (WanderingThoughts) ki hai, is Ghazal ko bhi zaroor parhiye ga, zabardast ash'ar hain...! Faizan bhai ko Ghazal ke liye is link par comments dijiye: Click Here
Have A Nice Day
FeAmanAllah.
Nazm yaad ka mausam for designing
Plz Nazm yaad ka mausam for designing
Message of the Day - October 20, 2009
* In continuation of previous ayat and subject matter
http://www.hallagulla.com/urdu/photo...sa_101-102.jpg
: *To be continued: (Click Bellow)
http://www.hallagulla.com/urdu/photo...sa_106-110.jpg
sadaa detii hai Khushbuu chaa.Nd taare bol pa.Date hai.n
Manzar Bhopali
sadaa detii hai Khushbuu chaa.Nd taare bol pa.Date hai.n
nazar jaisii nazar ho to nazaare bol pa.Date hai.n
tumhaari hii nigaaho.n ne kahaa hai ham se ye aksar
tumhaare jism par to rang saare bol pa.Date hai.n
mahak jaate hai.n gul jaise sabaa ke chuum lene se
agar lahare.n muKhaatib ho.n kinaare bol pa.Date hai.n
zabaa.N se baat karane me.n jahaa.N rusvaa_ii hotii hai
vahaa.N Khaamosh aa.Nkho.n ke ishaare bol pa.Date hai.n
chhupaanaa chaahate hai.n un se dil ka haal ham lekin
hamaare aa.Nsuo.n me.n gam hamaare bol pa.Date hai.n
terii paabandiyo.n se ruk nahi.n sakatii.n ye fariyaade.n
agar ham chup rahe.n to zaKhm saare bol pa.Date hai.n
Bas aik Tum Hi To Nehi Tha ........
Download Free Books
Urdu Books: Afsanay - History Novels - Mutafariq - Novels - Shayari - Urdu Poetry - Tanz o Mazah
Islamic Books: Tafseer Al-Quran - Hadith - Hamd o Naat - Understanding Islam
English Books: Biography - for Kids - History - Motivational - Philosophy - Sufism
Video Channels
Islamic & Religious - Urdu Mushaira - Mazahiya Mushaira - Punjabi Mushaira
TV Drama & Shows - Funny & Action - Pakistan Politics
Entertainment & Other Channels
Photo Gallery (over 110,000 Images) - Create Blog - Paly Games (4000 Games)
Gup Shup - Mohabat Kadah - Jokes n Jokes - Kitchen Corner
No comments:
Post a Comment